Thursday, July 3, 2008

Qalam saath na de, jo chahu likha
Bayan kaise karu “SHONA”, thuje cahu main kitna

Teri har ada me hathiyar hai, gusse me be-intheya pyar,
Teri dono aankho me, dekhi masumiyat hai,

Aa lele aapni panaho me, kar pyar tu tut kar sanam
Hum na rahey hum, lipte is qadar, na ho juda kissi janam

Jaan deker bhi na chukka pau, wo ehsaan hai tera
Har saans me mangu, khuda se bas saath tera

Na ho laboo se izhaar, mere ishq ke wo dastaan hai,
Bas tu he mera maan, aur tujhse he samman hai,

Kio jau main mandir/gurdware,Jab rabb ka saya hai sath mere,
Dekhi hai bas ik jhalak, aab cahu chalna saath tere

Bharke aapna daman tere aaaaansuo se, aapne hoto ke har khushi tere naam kardu,
Paya raab ko, hua didaar raabka, aa duniya ko elaan kardu…

Kar kabool tu sazda, jhuka hai sar mera
Hu tere naam ke diwnai, aa banja sarmaya mera

Khuda sa dil paya hai tune, mujhey basaya aapni har dua me tune,
Na hai alfazo me wo hunar, na aqshro me wo ada,
Hai teri inayaat ,tere dum se rishta pyar ka
Kaise kahu
Chanda
Lab khamosh hai
Lab kahmosh hai
Ke
KITNA UNCAH RUTBA .......HAI MERE YAAR KA
KITNA UNCHA RUTBA........ HAI MERE YAAR KA

2 comments:

ROMIL ARORA said...

humko bas itna kehna hai aapse...

1. Tu kahe to taire liye apni jaan de do,
Yeh zindagi, yeh saansein taire par qurban kar du!

2. Taire se juda reh nahi payunga,
bin taire sanaam, marr jayunga,
na hona humse khafa zindagi bhar,
taire behrukhi bardast nahi kar payunga!

3. Na Chand, Taare Lakar De Sakta Hu,
Na Rupiya, Sona, Chandhi, Jeewar Lakar De Sakta Hu,
Maire Pass Bas Pyar Hai Behintiya,
Bas Yahi Tujhpar Qurban Kar Sakta Hu!

GuNnJaNn said...

THANX

DIL ME AAPKI HAR BAAT RAHEYGI
JEGHAH CHOTI HAI PAR ABAAD RAHEYGI...
CHAHAEY HUM BHUULE ZAMNEY KO...
PAAR AAPSE JUDI HAR BAAT HAMESHA YAAD RAHEYGIIII