Wednesday, October 15, 2008

Aur ab...... Yeh khamoshi

Ye khayal
Ye tumhara intezaar
Ye ruki ruki baatein
Ye thori thori chahatein
Ye majboori
Ye doori
Ye dillagi
Ye dilkashi
Ye dewanapan
Ye akelapan
Ye sochna
Ye samajhna
Ye dekhna
Ye chehre ka sharma jana
Ye ankhon ka bhar jana
Ye mosam ka chala jana
Ye dharkano ka ruk jana
Ye bato ka badal jaana
Ye sanso ka tehar jaana
Ye thama huwa sama
Ye saara sansaar
Ye tumhari saans
Ye mera ehsaas

Kaash tum yahan hote,
mere nahin to mere liye kuch to hote..

Aur ab...... Yeh khamoshi

2 comments:

ROMIL ARORA said...

tum khamosh raho
aur hum bhi khamosh rahe
bas aaise hi baithe rahe
naazaron se baatein karte rahe...

tum khamosh raho,
aur hum bhi khamosh rahe...

de do mere haanton main apne haanth
chalo chalte rahe hum saath
durr chale jaye
khamosh chalte jaye
rahe hum bas dono pass.

tum khamosh raho,
aur hum bhi khamosh rahe...

GuNnJaNn said...

bahut khoob g

keep writing