Monday, October 6, 2008

teri garam saanse

Mujhe Chhu rahi hai, teri garm saase,
Mere raat aur din mahek ne lage hai...
Teri narm saasoon ne aise chhua hai,
Ke mere to pau, bahek ne lage hai...
Mujhe chhu rahi hai...


Labo se agar tum, bula naa sako to,
Nigahon se tum naam, lekar bula lo.
Tumhari nigahen bahot bolti hai,
Zara apni aankhon par, palke gira do....
Mujhe chhu rahi hai...
.
Pata chal gaya hai ke, manzil kaha hai,
Chalo dil ke lambe, safar pe chalenge.
Safar khatm kar denge hum to wahi par,
Jahan tak tumhare, kadam le chalenge...

Mujhe Chhu rahi hai, teri garm saase,
Mere raat aur din mahek ne lage hai...
Teri narm saasoon ne aise chhua hai,
Ke mere to pau, bahek ne lage hai... Mujhe chhu rahi hai...

1 comment:

ROMIL ARORA said...

aa tere saanson ko chu lu,
aa tujhe pyar main kar lu,
aa yeh jism pighalane de,
aa yeh sukoon, yeh chain tujhe de du,
aa tere saanson ko chu lu...

aa hoonth tere mehka du,
aa zulfen tere suljha du,
aa yeh pal haseen bana lu,
aa tujhe apna bana lu....

aa tere saanson ko chu lu...