
morani baaga ma bole aadhi raatama
chhananachhan chudiyaan khanak gayi dekh saahibaan
chudiyaan khanak gayi haath ma
*************
main to laaj ke maare, ho gayi pani pani
sab logon ne sun li meri prem kahani
munhase baat nikal gayi baat baat maa, baat baat ma
chhananachhan chudiyaan khanak gayi dekh saahibaan
**************
jaane kaun ghadi main
nikale saajan gharase
main ghunghat mein gayi kitane savan barasaae
meri pyaas na bujhi re barasaat maa, barasaat ma
chudiyaan khanak gayi dekh sahibaan ...
***************
suni sej pe saiyaan sari raat main jaagi
tere piichhe piichhe meri niind to bhaagi
mera chain bhi gaya re tere sath ma
chhananachhan chudiyaan khanak gayi dekh saahibaan ...
2 comments:
saj rahe phoolon se sej
ki dulhan piya ghar chale!
*
keh rahe shakheya na jayiun pardesh
ki dulhan piya ghar chale!
*
baabul re roye, de duaoon ka sandesh
ki dulhan piya ghar chale!
*
sune galiya, suna aangan chod chali re apnon ka desh,
ki dulhan piya ghar chale!
thanx 4 visiting
Post a Comment