ye duniyaan, ye mehafil mere kaam kee nahin
mere kaam ke nahin........
kis ko sunaau haal dila-ye-bekaraar kaa......
buzataa huaa charaag hu apane majaar ka....
aaye kaash bhul jaau, magar bhulataa nahi...
kis dhum se uthhaa thaa, janaajaa bahaar kaa...
ye duniyaan, ye mehafil mere kaam kee nahin
mere kaam ke nahin........
apanaa pataa mile, naa khabar yaar kee mile....
dushman ko bhee naa ayesi sajaa pyaar kee mile...
unako khudaa mile hain khudaa kee jinhe talaash...
mujh ko bas yek zhalak mere diladaar kee mile....
ye duniyaan, ye mehafil mere kaam kee nahin
mere kaam ke nahin........
saharaa mein aake bhi, muz ko thhikaanaa naa mila...
gam ko bhulaane kaa, koee bahaanaa naa milaa......
dil tarase jis mein pyaar ko, kyaa samazu us sansaar ko...
ek jeetee baajee haar ke, main dhoondhoo bichhade yaar ko.....
ye duniyaan, ye mehafil mere kaam kee nahin
mere kaam ke nahin........
dur nigaahon se aansoo bahaataa hain kou.....
kaise naa jaau mai, mujh ko bulaataa hain koi....
yaa toote dil ko jod do, yaa saare bandhan tod do....
aye parabat rastaa de mujhe, aye kaanton daaman chhod do...
ye duniyaan, ye mehafil mere kaam kee nahin
mere kaam ke nahin........
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
BAHUT KHOOBSURAT SONG HAI.
yahan beedh bahut hai logon ki,
magar mera dil tumhare bina tanha hai,
mujhe bhi apne saath le chalo,
agar yeh mehfil, yeh duniyaan tumhare kaam ki nahi hai!
Post a Comment