Tuesday, August 26, 2008

hum-tum

Aansou ko maine rok liya jo teri yaad mai behte they,
woh taaj-mehal tod diya jisme hum-tum rehtey they,
q na nibha suka mera saath jab pyaar kiya,
hum pyaar main had se guzar jaayege tum aksar kehte the,
woh umar bhar ek doosre se kiye jaane waaley vaadey,
woh pyaar ki meethi meethi baaten
woh kasme jo hum lete the,
hum ko pyaar aap se tha aap ko shayed kisi aur se,
lekin ab hum ne dil ke darwaze par taala laga diya,
ab waha koi nahi rehta jaha hum-tum rehte the...

3 comments:

ROMIL ARORA said...

koiye baat nahi GuNn jo taj mahal toot gaya...bikul udaas mat ho...main hoon na...


Chalo Sanam Ek Naya Taj Mahal Banaiye,
Usse Apne Pyar Se Hum-Tum Fhir Sajaye,
Wahi Khushaboo, Wahi Phool Lagaye,
Charon Taraf Mohabbat Ke Sitare Jagmagaye,
Baahon Main Baahein Dal Kar Kuch Pal Chain Se So Jaye,
Chalo Sanam Ek Naya Taj Mahal Banaiye,
Apne Mohabbat Se Usko Banaiye...

GuNnJaNn said...

HUM.....
khuda ke kabhi kayal na thee…

TUM-ko dekha to khuda yaad aaya…..

ROMIL ARORA said...

yeh to aapka hi karam hai...

warna yeh banda kis kaam ka tha...

yeh to bilkul naakaam tha...