Friday, August 8, 2008

bahut tanahaa huu

kaash Khwaabooo hi me aa jaao bahut tanahaa huu
yaa mere zahan se yaado ke diye gul kar do
mere ehasaas ki duniyaa ko mitaa do ham-dam
raat taarey nahii angaare liye aatii hai
in barasate huye sholo ko bujhaa do ham-dam
dil kii dhadakan ko sulaa jaao bahut tanahaa huu

andherii raat me jab chaand khilane lagataa hai
tumhaare pyaar ke deepak jalaake roti huu
tumhaare aane kii jab aas jaane lagatii hai
main in chiraago ko Khud hii bujhaa ke roti huu
zindagii aisii mitaa jao bahut tanahaa huu

sochate sochate jab soch bhii mar jaatii hai
waqt ke qadamo kii aahat ko sunaa karati huu
ashk thamate hain to aahon kaa dhuaan uthataa hai
raat bhar yuu hii tadapati huu jalaa karati huu
baar-e-Gam kuchh to ghata jaao bahut tanahaa huu

No comments: