Thursday, August 14, 2008

LAMHA LAMHA ZINDAGI KA

Tumhein Sari Duniya Se Chupa kar Apne Pass Rakhna Chahti Hu
Duniya Ke Nazaron Se Durr Le Jana Chahthi Hu
Ye Mat Samjhna Mujhe Tumse Bewafai Ka Dar Hai
Bas Meri Mohabaat Mein Kabhi Kisi Kami Ka Dar Hai
Tumhein Chura Le Koi Mujhse Yeh Darr Laga Rehta Hai
Mujhse Meri Zindegi Koi Le Le Yeh Darr Laga Rehta Hai
Tumhein Apni Dhadkan Se Bhi Kareeb Rekhna Chahti Hu
Lamha Lamha Zindegi Ka Tumhare Saath Jeena Marna Chahti Hun

3 comments:

ROMIL ARORA said...

Dhadakte dil ke paigham suno aaj..
ki ek muddat hui tumhe ye raaz jatate hue...

ek sham mere naam karo aaj...
ki ek arsa hua tujhe paas bulate hue...


ho sake to mujhe ek mehfil dedo...
ki ub chuke hain umar yu hi tanha bitate hue...

gar tum aa sako to aao meri jindagi mein...
ki khatam ho rahe hain ab sab bahana-e-jindagi..aajmate hue...

GuNnJaNn said...

wow raj....amazing yaar.......

speechless....aapka jawaab nahi..........

ROMIL ARORA said...

sohni dear...yeh wali hamari poetry nahi hai g...

bas ehsaas hamara hai g...

sukriya jo aapne isko saraya..