Tuesday, August 5, 2008

peyaasi hain ahesas ki raahein

peyaasi hain ahesas ki raahein...
talash main sar gardan kisse ke khayaal main.
roop ke barkhaa chaye husan o jamaal main.
dar dar bhattke jaan tanhaayun ke jaal main.
raqas karein lab, khamoshiyun ke haal main.

peyaasi hain ahesas ki raahein...

man ki nagree be nishaan manzil pe chal rahi hai.
zindagee apni khud hi ke ahesas se nikal rahi hai.
tashnage chashme tar ki aanhon main machal rahi hai.
shab o roz sehar chiraaghon main jal rahi hai.

peyaasi hain ahesas ki raahein...

ragon main seeiahee ka hai basera
majroh zindage ka yaan hai pehra
gardisho main zeesat ka hai sehra.
chahaton ka ranag bhee hai ghera

peyaasi hain ahesas ke raahin..

ho koi rafeeq,tu koi mehar baan bhi ho.
sadyun se hai dhoop koi saye baan bhi ho.
dil jo kahye essi koi daastaan bhi ho.
mere qareeb mera koi hum zubaan bhee ho.

peyaasi hai ahesas ki raahien...

1 comment:

ROMIL ARORA said...

jaan hamari kaun-kaun se khazano se aap nikal rahe ho yeh pyare-pyare se geet..ehsaaso se baare ho...dil se geet....