Thursday, August 7, 2008

AISI MERI TAQDEER KHAN

Tera gham khar houn lekin main tujh tak aa nahin sakta
Main aapne naam teri bekasi likhwa nahin sakta.......

Teri aankh ke aansou pee jaaun.... Aisi meri taqdeer kahan
Teri aankh ke aansou pee jaaon ....Aisi meri taqdeer kahan
Tere gham mein tujh ko behlaoun.... Aisi meri taqdeer kahan
Teri aankh ke aansou pee jaaoun..............


Aye kash jo milkar rote.... Kuch dard to halkey hote
Bekar na jaate aansou.... Kuch daag jigar ke dhotey
Phir ranj na hota itna.... Hain tanhai mein jitna
Ab jaane yeh rasta gham ka hain.... aur bhi lamba kitna
Haalat ki uljhan suljhaoun.........Haalat ki uljhan suljhaoun
Aisi meri taqdeer kahanTeri aankh ke aansoun pee jaaoun

Keya teri julf ka lehra hain ab tak wohi sunehra
Keya ab tak tere darpe deti hain hawaaen pehera
Lekin hain yeh khwab khayaali teri julf bani hain sawari
Mohotaj hain ek kali ki ek roz thi phoulon wali
Woh julfe pareshan mehekaoun Woh julfe pareshan mehekaoun
Aisi meri taqdeer kahan...
Teri aankh ke aansou pee jaaou
Aisi meri taqdeer kahan
Teri aankh ke aansoun pee jaaoun.......

No comments: