Saturday, August 9, 2008

kabhi aah lab par machal gaye

kabhi aah lab par machal gaye..
kabhi ashk aankh se dhal gaye..
wo tumhare gum k chiragh hain..
kabhi bhujh gaye kabhi jal gaye..

main khyalo khuwab ki mahafile..
na kabhi shouk se saja saka..
tumhari ek najar k sath he..
mere sab irade badal gaye..

kabhi rang main kabhi roop main..
kabhi chavi main kabhi dhoop main..
kahi aaftaab-e-najar hain wo..
kahi mahataab main dhal gaye.

jo fana hua gum-e-ishq main..
unhe jindagi ka na gum huaa..
jo naa apni aag main jal sake..
wo paraye aag main jal gaye..

tha uneh bhi meri tarah junun..
to fir unme mujhmain yeh fark kya..
main girraft-e-gum se na bach saka..
wo huudud-e-gum se nikal gaye..

No comments: