Tuesday, August 5, 2008

aake lab tak Thahar gayaa pani

aake lab tak Thahar gayaa pani
pyaas se meri, Dar gayaa pani

unka chehra nikhaarney aaya
aur khud hi nikhar gayaa pani
fasl-e-gul dekhti rahi
rasta karkey wada mukar gayaa pani

ro ke halkey wo ho gaye
lekin mere daaman mein bhar gayaa pani
sabz, dhaani, hinaai aur zarreen
rang kheton mein bhar gayaa pani
hara, dhaan ka rang, menhdi jaisa,
thaam le rau toofaan ki
dekh, sar se guzar gayaa pani

1 comment:

ROMIL ARORA said...

wah wah kya laye main hain...

pani...pani..pani...