Sunday, August 3, 2008

INTEZAAR

Intzar Intezar Intezar
rehta hai
Meri subahon ko....... teri shamon ka
Meri sahmon ko...... ter wadon ka
Meri raton ko .....teri khwabon ka
Meri needon ko..... teri baahon ka
Mere jazbon ko....... teri chahon ka
Behki behki kuchh khahawon ka
Kuchh khubshurat gunahon ka
Intezar Intezar Intezar
rehta hai .......

Apne dilwar ka..... apne humdam ka
Apne janam ka..... entezar rehta hai
Surkh phoolon se ...mehka rasta hai
Dil ko mere magar jard patta hai
Pas aankhon ke ....Sabz manzar hain
Dil ka mausam to..... phir bhi banzar hai
Mehke mehke kuchh hawawon ka
Bheenge bheenge kuchh ghatawon ka
Intezar Intezar Intezar
rehta hai......

Koi baduli kabhi es tarah bhi aayegi
Pyas sadiyon ki pal bher men bujha jayegi
Tujhko lita ke apni aagosh men
dekhna Tum waqt ki Nabz thum jayegi
Aisa hone ke kuchh duwawon ka
Umr bher jo mile un panahon ka
Intezar Intezar Intezar
rehta hai .......

Tere aane ka tujhko pane ka
Phir na jane ka
entezar rehta hai
Intezar Intezar Intezar
rehta hai .......

1 comment:

ROMIL ARORA said...

kaash yeh intezaar khatam ho jaye...aur do rooh mil jaye....

kaash aaisa pal aaye...do jism ek jaan ho jaye....